Friday, August 1, 2008

Bari Haseen Raat Thi - JAGJIT SINGH


charagh-o-aftab gum badi haseen raat thi
charagh-o-aftab gum badi haseen raat thi
shabab ki naqab gum badi haseen raat thi
charagh-o-aftab gum badi haseen raat thi


mujhe pila rahe the woh ke khud hee shamma bujh gayi
mujhe pila rahe the woh ke khud hee shamma bujh gayi
gilas gum sharab gum,badi haseen raat thi

charagh-o-aftab gum badi haseen raat thi


likha tha jis kitab mei ke ishq to haraam hai
likha tha jis kitab mei ke ishq to haraam hai
hui wahi kitaab gum,badi haseen raat thi

charagh-o-aftab gum badi haseen raat thi


labon se lab jo mil gaye,labon se lab hee sil gaye
labon se lab jo mil gaye,labon se lab hee sil gaye
sawal gum jawab gum,badi haseen raat thi

charagh-o-aftab gum badi haseen raat thi

shabab ki naqab gum badi haseen raat thi
charagh-o-aftab gum badi haseen raat thi

1 comment:

Shabbar Jamali said...

One of Many possible interPretations:-

chirag-o-aftab gum badi haseen raat thi
shabaab ki naqab gum badi haseen raat thi

Chirag-o-aftab :- Brilliance/Flames of a Lamp
shabaab ki naqab:- Veil/Curtain on Beauty

muje pila rahe the woh ki khud hi sham'ma buj gayii
gelaas gum sharab gum badi haseen raat thi

sham'ma:- thirst (no more drinking required)
gelaas gum sharab gum :- no longer intersted in it (drinking)

likha jis kitaab mein ke ishk to haraam hai
hui wahi kitaab gum badi haseen raat thi

labbo se labb jo mil gaye labbo se labb hi sil gayee
sawaal gum jawaab gum badi haseen raat thi

sawaal gum jawaab gum:- mutual aggrement/consent

charag aftab gum badi haseen raat thi
shabab ki naqaab gum badi haseen raat thi